Civil Engineering Course Details In Hindi What Is Civil Engineering ? - AnysolutionTechnical website

AnysolutionTechnical website

ANYSOLUTION FOUNDNER RANJAN MISHRA

JOIN ONLINE CLASS

Monday, May 28, 2018

Civil Engineering Course Details In Hindi What Is Civil Engineering ?



Civil Engineering Course Details In Hindi What Is Civil Engineering Explain In

Civil Engineering by RANJAN MISHRA

Civil Engineering Kya Hota Hai Civil Engineering Knowledge In Hindi



Civil engineering building ko design karne aur infrastructure banane ka term hai. Civil engineering jis mein bridges, dams, buildings aur tunnels shamil hain. Civil engineering mein water yani sewerage aur aab pashi ka network bhi shamil hai. Civil Engineering mein baray gharon aur chote gharon ko bhi cover kiya jata hai. Civil engineers infrastructure ki tamam stages mein shamil ho sakte hain planning se le kar construction tak aur maintenance se le kar demolition tak ye infrastructure kay taqreeban har kaam mein shamil hote hain.

Civil engineering ko aksar ziyada se ziyada architecture ke sath rakha jata hai. Civil engineering mein bohat saray mukhtalif disciplines aur areas hain jis mein kuch ahem areas jo hain un mein geotechnical, structures, environmental, construction management, hydrology, transportation, and materials shamil hai. Civil engineers ke liye in sab disciplines ko samjhna zaroori hota hai kyon ki projects mein aksar ye saray disciplines aik he waqt mein shamil hote hain.
       Civil engineering mein kaam karne ke liye practical training ki zaroorat hoti hai. Construction workers center ya phir job par jab koi bhi shakhs wo job kar raha ho us waqt training dete hai aur baaz aquat ye apprenticeship ke sath bhi hoti hai. Civil engineering mein professional banne ke liye university ya phir college ki degree ki zaroorat hoti hai. Civil engineers aksar structures, materials, physics aur calculus ke subjects ki study karte hain.
Civil engineering ka profession bohat sari countrie United Kingdom mein Civil Engineers ki institution civil engineers ko discipline ke taur par promote karti hai aur engineers ko unkay poray career mein support karti hai. American Society of Civil Engineers bhi  mein is tarah ka kaam karti hai.
Professional engineers aksar Chartered Engineers ki line ko muntakhib karte hain. Chartership ki wajah sey employers aur clients ko is baat ki tasali ho jati hai kay dono apni field mein qualified aur experienced hain. Civil engineers ko aam taur par chartership hasil karne ke liye bohat bara essay likhna hota hai aur phir experienced engineers ko interview dena parta hai. Agar aap ko meri ye post achi lagi hai to neeche thanks box par click kar dain aur iss informative post ko Share ke button par click karke facebook ya twitter par apne friends ke sath share bhi karen.

No comments:

Post a Comment

veiew my post