Computer Engineering Kya Hai What is Computer Engineering in Hindi - AnysolutionTechnical website

AnysolutionTechnical website

ANYSOLUTION FOUNDNER RANJAN MISHRA

JOIN ONLINE CLASS

Monday, May 28, 2018

Computer Engineering Kya Hai What is Computer Engineering in Hindi


Computer Engineering Kya Hai What is Computer Engineering in Hindi

Computer Engineering in HINDI BY RANJAN MISHRA 


Computer Engineering Course Information Details

Computer Engineering Jankari





Computer Engineering computer aur computer parts banane ki practice hai computer engineers
 kay naye aur pehle se bhi chote aur behtar parts banane ki koshish karte rehte hain. Computer engineers software par bhi kaam kar sakte hain khaas taur par embedded systems jo kay  par  ISTEMAL hote hain jaisay kay receivers etc. Computers electrical machines hoti hain jo kay programs ko chalati hain isliye computer engineering mein electrical engineering aur computer science ya bhi shamil hoti hai. Computer engineering classes mein students computer kay hardware aur software kay baray mein seekhty hain.
Computer engineering mein ye aisy shuru hota hai kay  aur computer chips kaise banai jati hain aur ye kaise kaam karti hain jo kay  ko istemal karti hain. Phir students ye seekhty hain kay chips kaise aik dusry sey baat karti hain aur kaise aik complete printed circuit board banaya jata hai ye electrical part hai. Computer engineering ROM ko aur Flash memory ko program karne kay baray mein bhi sikhaya jata hai jisky baad computer koi useful kaam kar sakta hai. Computer engineering electrical engineering aur computer science sey bohat qareebi taluq rakhti hai ye fields bohat sari universities mein aik he department mein hoti hain. Computer engineering mein students ko science subjects aur  parhne ki bhi zarorat hoti hai jaise Calculus aur
differential equations.

Computer engineering seekhne mein mushkil hai lekin computer engineers ki bohat demand hai Software engineering companies, telecommunications firms, hardware kay digital designers aur bohat sari dusri companies computer engineers ko hire karti hai aur unhy achi pay deti hai.



1 comment:

veiew my post